Song: Sultan (Title Song).
Movie: Sultan (2016).
Singer: Sukhwinder Singh, Shadab Faridi.
Lyrics: Irshad Kamil.
Music: Vishal-Shekhar.
SULTAN SONG
Sultan Title Song Lyrics:
Kismat jo aave saamne,
Tu mod de uska panja re,
Kismat jo aave saamne,
Tu mod de uska panja re,
Chal mod de uska panja re,
Saat aasmaan cheere,
Ab saat samander peere,
Chal saat suron mein,
Karde ye elaan,
Himmat hai toh roko,
Aur zurrat hai toh baaton,
Re aaj hatheli pe rakhdi hai jaan,
Khoon mein tere mitti,
Mitti mein tera khoon,
Khoon mein tere mitti,
Mitti mein tera khoon,
Upar Allah niche dharti,
Beech mein tera junoon,
Aye Sultan,
Seene mein tere aag,
Paani, aandhi hain,
Mehnat ki dori,
Honslo se baandhi hai (x2),
Hai parvat bhi tu hi,
Aur tu hi pathar hain,
Jo chaahe tu wo hi ban jaaye,
Teri marzi hai,
Aansu aur paseena,
Arre hai toh dono paani,
Par mod ke rakh de dono hi tufaan,
Chot ho jitni gehri,
Ya thhes jigar mein thehri,
Toh jazbaa utna zehri hai ye maan,
Noor-e-sukoon niyat se junoon,
Yeh tujhko pata hai,
Tujhme chhupa hai,
Tu usko le, usko le pehchaan,
Tera iraada tujhse bhi zyada,
Usko pata hai jo lapata hai,
Tu itna le, itna le ab maan,
Wo dil mein hai tere,
Tu uski nazron mein,
Chal hadd se aage re,
Chaha jo tune wo paane,
Chal banja re Sultan,
Saat aasmaan cheere,
Ab saat samandar peere,
Chal saat suron mein,
Karde ye elaan,
Khoon mein tere mitti,
Mitti mein tera khoon,
Khoon mein tere mitti,
Mitti mein tera khoon,
Upar Allah niche dharti,
Beech mein tera junoon Sultan,
Saat aasmaan cheere,
Ab saat samandar peere,
Chal saat suron mein,
Karde ye elaan,
Himmat hai toh roko,
Aur zurrat hai toh baaton,
Re aaj hatheli pe rakhdi hai jaan,